Tum Na Aaye

Badla · 2019

Singer K. K.
Lyricist A M Turaz
Music Amaal Mallik
Listen on YouTube
dard aaya tadap aayi
ashq aaye yaad aayi
phir rukte rukte saans bhi aayi
sab aaye bas tum na aaye
sab aaye ek tum na aaye
sab aaye bas tum na aaye
sab aaye ek tum na aaye
tere bina mera gham bhi adhura hai
sab kuch ho ke bhi kuch nahi pura hai
tere siva sab kuch to likha hai
jaane ye kaisa nasib mera hai
taqlif hi mujhko ras aayi
tanhayi bhi ab mere pas aayi
zakhm aaye tadap aayi
shaam aayi raat aayi
phir jagte jagte khwab bhi aaye
sab aaye bas tum na aaye
sab aaye ek tum na aaye
sab aaye bas tum na aaye
sab aaye ek tum na aaye

Watch

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.