Tanhaiya Tanhaiya (Male)

Hum Dum · 2005

Singer Sonu Nigam
tanhaiya, tanhaiya
tanhaiya, tanhaiya
ab humsafar hai tanhaiya
tanhaiya, tanhaiya
ab humsafar hai tanhaiya
kal zindagi ki ham raah the
ab zindagi kahin aur hai
wo khaab bunne ke lamhe the
ye dard chunne ka daur hai
najdikiyo ke tukde hue
to hisse me aayi hai duriya, duriya
tanhaiya, tanhaiya
ab humsafar hai tanhaiya
dariya hai ret ka ye
hum jisme bah rahe hai
khamoshi ki juba me
hum kya kya kah rahe hai
dariya hai ret ka ye
hum jisme bah rahe hai
khamoshi ki juba me
hum kya kya kah rahe hai
khamoshiyo ke is shor me
ho jaye na kahin bezuba, bezuba
tanhaiya, tanhaiya
ab humsafar hai tanhaiya
palko me khwab aise
hargiz na gungunaye
shishe pe gir ke jaise
koi shisha tut jaye
palko me khwab aise
hargiz na gungunaye
shishe pe gir ke jaise
koi shisha tut jaye
aankho ke dhundhle aakash me
ab chand ki jagah hai dhua
dhua dhua
tanhaiya, tanhaiya
ab humsafar hai tanhaiya
kal zindagi ki ham raah the
ab zindagi kahin aur hai
wo khaab bunne ke lamhe the
ye dard chunne ka daur hai
najdikiyo ke tukde hue
to hisse me aayi hai duriya, duriya
tanhaiya, tanhaiya
ab humsafar hai tanhaiya

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.