Pyar Me Mitna Hi Padta Hai

Rachna · 1983

Singer Mohammed Rafi
Lyricist K L Pardesi
Music C K Chauhan
Listen on YouTube
pyar me mitna hi padta hai
magar mitkar bhi jindagi hai
ke sawarti hi chali jati hai
pyar me mitna hi padta hai
magar mitkar bhi jindagi hai
ke sawarti hi chali jati hai
pyar me mitna hi padta hai
dil ke jalne se ujala jo najar aata hai
dard ke sath hi rahat ka mukam aata hai
tumko shayad
tumko shayad nahi malum mohabbat kya hai
ek shama hai jo tufa me jali jati hai
pyar me mitna hi padta hai
pyar dharti pe hai aakash ka anmol diya
pyar se badhke jamane me koi chiz nahi
mitne walo ki
mitne walo ki koi rasam koi reet nahi
dasta pyar ki bas yuhi kahi jati hai
pyar me mitna hi padta hai
magar mitkar bhi jindagi hai
ke sawarti hi chali jati hai
pyar me mitna hi padta hai
pyar me mitna hi padta hai

Watch

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.