Mujhe, Teri Nazar

Waah Tera Kya Kehna · 2002

Lyricist Sameer
Music Jatin Lalit
Listen on YouTube
mujhe teri nazar ne ashiq banaya sanam
is jahan ke diwane sab aashiqon ki kasam
chahe din ho chahe ratein
karta bas hoon teri batein janejan
mujhe teri nazar ne ashiq banaya sanam
is jahan ke diwane sab aashiqon ki kasam
pyar ke vade sabhi jo main tod do
kya karogi tum agar daman chhod do
yar mere khudkhushi main kar jaongi
bewafayi na sahoongi mar jaongi
bewafa main nahin tujhko mujhpe hai bharosa
kaise doonga tujhko dhoka na na
mujhe teri nazar ne ashiq banaya sanam
is jahan ke diwane sab aashiqon ki kasam
chal rahi har sans par tera nam hai
pyar karna bas tujhe mera kam hai
dekh teri chahaton mein kya ho gaya
mein tere khwabon khayalon mein kho gaya
hamnashin zindagi tere bahon mein guzaroon
tujhko dhadkan mein utaroon han re han
mujhe teri nazar ne ashiq banaya sanam
is jahan ke diwane sab aashiqon ki kasam
chahe din ho chahe ratein
karta bas hoon teri batein janejan
mujhe teri nazar ne ashiq banaya sanam
is jahan ke diwane sab aashiqon ki kasam

Watch

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.