Kyaa Janoo Sajan

Karar - The Deal · 2014

kya jaanu sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam
kya jaanu sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam
kya jaanu sajan
jabse mili nazar, maathe pe ban gaye
bindiya nayan tere dekho sajna
jabse mili nazar, maathe pe ban gaye
bindiya nayan tere dekho sajna
dhar li jo pyaar se, meri kalaaiyaan
piya teri ungliyan ho gayi kangna
kya jaanu sajan hoti hai kya gham ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.