Jeene De Ye Duniya (Sad)

Lava · 1985

Singer Asha Bhosle
Lyricist Anand Bakshi
Music R D Burman
Listen on YouTube
kaagaj pe kuch ho likha to mita dun
sauda kiya ho to kimat chuka dun
kaagaj pe kuch ho likha to mita dun
sauda kiya ho to kimat chuka dun
dekha ho sapna to sapna bhula dun
kaise bhula dun tumhe yaad aane wale
log hum nirale pyar karne wale
jeene de ye duniya chahe maar dale
gajra khula tha kajra bha tha
kal raat mujhko tu yaad aa raha tha
gajra khula tha kajra bha tha
kal raat mujhko tu yaad aa raha tha
aankhon mein bas ja maine kaha tha
ye kab kaha tha ki neenden chura le
log hum nirale pyar karne wale
jeene de ye duniya chahe maar dale

Watch

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.