Janam Janam Ka Sath Tha

Bheegi Palkein · 1982

Listen on YouTube
janam janam ka saath tha
tumhara hamara, tumhara hamara
jivan saathi banke tune humse kiya kinara
janam janam ka saath tha
tumhara hamara, tumhara hamara
ye rasmo ke bandhan kasmo ki deeware
ye rasmo ke bandhan kasmo ki deeware
inko todke kaise baki umar gujare
is uljhan me uljh raha hai man kyun aas ka mara
janam janam ka saath tha
tumhara hamara, tumhara hamara
saari duniya soye nind mujhe na aaye
saari duniya soye nind mujhe na aaye
raat ke sunepan me nain mere bhar aaye
aansu banke kyun aankho se chhalke pyar tumhara
janam janam ka saath tha
tumhara hamara, tumhara hamara
jivan saathi banke tune humse kiya kinara
janam janam ka saath tha
tumhara hamara, tumhara hamara

Watch

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.