Jab Dukh Se Man Ghabra Jaaye, Har Or Nirasha Chha Jaaye

Karm · 1977

Lyricist Anand Bakshi
Music R D Burman
Listen on YouTube
jab dukh se man ghabra jaye har or nirasha cha jaye

jab kiran ek abhilasha ka aati ho nahi najar
prarthana kar prarthana kar jagat ke palan hari se
prarthana kar prarthana kar hari om hari om hari om
tu jan bujh koi pap na kar ho jaye to paschatap na kar

ye sab lila us ishwar ka tu dhyan usi ka dhar
prarthana kar prarthana kar jagat ke palan hari se
prarthana kar prarthana kar hari om hari om hari om
jisko na kisi ne dekha hai wo ek karam ki rekha hai

wo sab ka bhagya vidhata hai sabki hai use khabar
prarthana kar prarthana kar jagat ke palan hari se
prarthana kar prarthana kar hari om hari om hari om

Watch

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.