Dil Ne Tadap Tadap Ke Tadpana Sikha Diya

Faslah · 1976

Lyricist Kaifi Azmi
Music Jaidev
dil ne tadap tadap ke tadpana sikha diya
inam ab mile ke saja sar jhuka diya
dil ne tadap tadap ke tadpana sikha diya
inam ab mile ke saja sar jhuka diya
diwana karke chhod de jo ik jamane ko
diwana karke chhod de jo ik jamane ko
mujhko usi nigah ne insa bana diya
mujhko usi nigah ne insa bana diya
inam ab mile ke saja sar jhuka diya
bas itna janta hu mujhe tumse pyar hai
aur pyar me naa jeet kisi ki na haar hai
iske siva jo yaad tha sab kuchh bhula diya
iske siva jo yaad tha sab kuchh bhula diya
inam ab mile ke saja sar jhuka diya
diwana karke chhod de jo ik jamane ko
mujhko usi nigah ne insa bana diya

Suggest a correction

All corrections are reviewed before being applied.