Yaad Aayi Yaad Aayi Lyrics

khuskismat hai vo jisko is kaid se mili rihai unko vidai dedo achank apni aankh bhar aayi yaad aayi yaad aayi bhuli wo kahani phir yaad aayi kal ki zindagani phir yaad aayi bhuli wo kahani phir yaad aayi yaad aayi yaad aayi bhuli wo kahani phir yaad aayi maa ki kokh se janam liya to ek sache insaan the hum wo din bhi kya din the yaaro jab achhe insaan the hum chota sa ek ghar tha apna aankho me tha kya kya sapna mehant ki roti khate the phir sukh chain se so jate the ek din waqt ne karvat badli ek pal me ye duniya badli julm sitam se chur huye hum kuch aise majbur huye hum julm ki in raaho par aaye aaye to phir laut na paye oo kismat ne ye din dikhlaye mujrim banke jail me aaye yaad aayi yaad aayi bhuli wo kahani phir yaad aayi kal ki zindagani phir yaad aayi bhuli wo kahani phir yaad aayi jurm tha apna apne karan apne sab badnam huye sath humare un sab ke bhi sab sapne nilam huye o kya sapne the kya duniya thi mamta ki murat ek maa thi jaan se pyari thi ek behna uske liye tha zinda rahna behna ka the byah rachana doli ko kandha tha lagana dawar magar baraat na aayi wo behna rah gayi anbyahi o jane wo kis haal me hogi jali chitaye apne sapno ki uske bina mar mar jita hu khun ke aansu ab pita hu yaad aayi yaad aayi bhuli wo kahani phir yaad aayi kal ki zindagani phir yaad aayi bhuli wo kahani phir yaad aayi yaad aayi yaad aayi bhuli wo kahani phir yaad aayi