Jise Pyar Zamana Kehta Hai Lyrics
jise pyaar jamaana kahta hain, naam uska to kurbaani hain

  jo meri aankho se bahta hain, wo tere dard ka paani hain 

  maine tujhko tadpaaya hain, ab tadpu teri tadapan me 

  ehsaas se dard ubharta hain, har saans dil ki dhadkan me 
  main teri wafa na samajh saki, meri bhul hai ye naadani hai
  jo meri aankho se bahta hain, wo tere dard ka paani hain 
  jise pyaar jamaana kahta hain, naam uska to kurbaani hain 
  
  jo kasam dilaai thi tumane, ham usko tod na paayenge

  ham tere hain tere dukh me hi, ye duniya chhod ke jaayenge 
  hamane tumse na milne ki, marne tak kasam nibhayi hai 
  jo meri aankho se bahta hain, wo tere dard ka paani hain 
  jise pyaar jamaana kahta hain, naam uska to kurbaani hain 
  
  tum miloge fir se mujhe kahi, is aas me ab tak jeeti thi 

  tere gam me sulagati rahti thi, aur pyaas me aansu piti thi 
  tumhe khokar jeena mushkil hain, mar jaaye ye aasaani hain
  jo meri aankho se bahta hain, wo tere dard ka paani hain 
  jise pyaar jamaana kahta hain, naam uska to kurbaani hain 
  
  ye pyaar mohabbat yaar wafa, bas thodi der ke rishte hain 

  aksar to bichhadne ke khatir, duniyaa me musafir milte hain 
  ye kadwi hakikat hain hamne, naada dil ko samjhani hian 
  jo meri aankho se bahta hain, wo tere dard ka paani hain 
  jise pyaar jamaana kahta hain, naam uska to kurbaani hain 
  
  jab yaad andheri raato me, mere dil ke taar hilaati hain 

  khamoshi me aawaj teri, mere kaano tak aati hain 
  lagata hain hamari chahat ki, duniyaa se alag kahani hain
  jo meri aankho se bahta hain, wo tere dard ka paani hain 
  jise pyaar jamaana kahta hain, naam uska to kurbaani hain 
  
  hatho ki lakire dekhti hain, takdir ka dosh bataati hu

  kabhi main teri barbaadi ka, khud pe iljaam lagaati hu
  jo julm kiya maine tum pe, ab uski saja uthani hain 
  jo meri aankho se bahta hain, wo tere dard ka paani hain 
  jise pyaar jamaana kahta hain, naam uska to kurbaani hain 
  
  main tere dard ke rishte ko, sine se laga kar ji lungi 

  chubhati saanso ke dhage se, dil ke tukade ko si lungi 
  ek pal na gujrna mushkil hain, fir bhi ye umar bitaani hain