Humare Husn Ka Jadu Lyrics
abhi to aaye ho baitho
  chale jaana chale jaana
  suna to lu main apne dil ka afsana chale jana
  hamare husan ka jadu sanam jis pe bhi chal jaaye
  wo shishe ho ya patthar ho ghadi bhar me pighal jaaye
  hamare husan ka jadu sanam jis pe bhi chal jaaye
  wo shishe ho ya patthar ho ghadi bhar me pighal jaaye
  hamare husan ka jadu
  
  main pagal premi pyar ka hun diwana
  kyu jaan ke tune haal na mera jana
  main pagal premi pyar ka hun diwana
  kyu jaan ke tune haal na mera jana
  hai lakho diwane kis kis ke dil jaane
  de pyar humein ya dil me shole bhar de
  ab jo bhi ho insaaf hmara kar de
  shole se na takarana bemaut na mar jana
  aadao ke ye angaare jo chU le aag jal jaaye
  wo shishe ho ya patthar ho ghadi bhar me pighal jaaye
  hamare husan ka jadu
  
  main pyar me apni haar kabhi na maanu
  do dil pe ye diwaar kabhi na maanu
  dil dil ki ye batein bin mausam barsate
  seene me kaise aag ye tumne bhar di
  main tujhko dilbar samjhu ya bedardi
  tune he na jaana is dil ka afsana
  meri jaan nazar meri tirchhi nazar ka teer jal jaaye
  wo shishe ho ya patthar ho ghadi bhar me pighal jaaye
  hamare husan ka jadu
  
  main har dam bas tera he dam bharta hu
  tujh pe hi jeeta hu tujh pe marta hun
  main har dam bas tera he dam bharta hu
  tujh pe hi jeeta hu tujh pe marta hun
  ye jeena marna kya hai yun aahe bharana kya
  parwano ki takdeer me to jalna hai
  angaaro ki in raaho pe chalna hai
  har kadam pe chakkar hai har mod pe thokar hai
  isaare pe  hamare dil to kya duniya badal jaye
  wo shishe ho ya patthar ho ghadi bhar me pighal jaaye
  hamare husan ka jadu sanam jis pe bhi chal jaaye
  wo shishe ho ya patthar ho ghadi bhar me pighal jaaye
  hamare husan ka jadu
                            
                            
                        