Karbala Ki Kahani Lyrics
suno momino, karbala ki kahani bahattar musafir, na dana na pani duniya husain ki hai zamana husain ka duniya husain ki hai zamana husain ka karbal me lut gaya hai gharana husain ka duniya husain ki hai zamana husain ka duniya husain ki hai zamana husain ka jangal me aa pade hai madine ko chhod ke khaime me rah gaya hai thikana husain ka phaili gali gali me shahdat ki roshani gham aa gaya char jalana husain ka khali rahi na mangne walo ki jholiya sabke liye khula hai khazana husain ka duniya husain ki hai zamana husain ka duniya husain ki hai zamana husain ka utara jo karbala me madine ka kafila tarikh do thi aur mohrram ka chaand tha lakhon udhar the aur bahamtar the is taraf shaitan us taraf tha pir paighambar is taraf sahara ki tej dhoop thi pani bhi band tha charo taraf the shor qayamat buland tha muskil se lal shor se sahil ke samne ha? aa gaya ladai ka katil ke samne akbar ka jism tiro se chalni kiya gaya unko unhi ke khoon ka tohfa diya gaya kasim bahar aane se pehle ujad gaye dulha bane to maut ke hathon me pad gaye bechari ek raat me bewa hui dhulhan shadi ki odni se banaya gaya kafan khaime me bibiyo ka ajab haal jar tha aansu the sabki aankon me dil bekarar tha pehra laga hua tha nadi par idhar udhar lekin pahuch gaye wahan abaash naam har mashki ja phar ke nikle to dushman the samne tanha the phir bhi haar na mani imam ne charo taraf se unpe kiya katilo ne vaar sau tir aakar ho gaye chhagar ke aar paar paani tamaam futh ke raste me beh gaya khumba husan husain ke khun ka pyasa hi reh gaya che maah ka vo aswar maasum haay haye paani na ho to kya kare majlum haye haye bache ka haal dekh ke moula huye nidhal sukhe the hoth pyas se murjhaye the gal ek tir aake maut ka saaman ho gaya bachcha tadap ke god me bejaan ho gaya chullu me khun le ke hawa me udha diya ibne aali ne sabar ka rasta dikha diya khaime me sabko sabar dilaya husain ne bimar ko gale se lagaya husain ne sabse kaha husain ne ab rangne hum chale talwar sir pe tut ke tire sitam chale muktal me aake aakhri sajda ada kiya bachpan me jo kiya tha vo ada wafa kiya daulat ke vaste, na to inaam ke liye pyase shahid ho gaye islaam ke liye islaam ke liye, islaam ke liye islaam ke liye