Jise Samjhe The Hum Afsana Kal Tak Lyrics

jise samjhe the hum afsana kal tak jise samjhe the hum afsana kal tak vo afsana hakikat to nahi hai vo afsana hakikat to nahi hai jo humse dur bhi hai pas bhi hai jo humse dur bhi hai pas bhi hai kahi unse mohabbat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai jinhe hum chhod aaye zindagi me jinhe hum chhod aaye zindagi me vahi shamil hai har gam me khushi me jo apna haal hai diwangi me jo apna haal hai diwangi me udhar bhi to aisi halat nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai har ek manzar se ek chehara banana har ek manzar se ek chehara banana yuhi kagaz pe kuch likhna mitana kisi ko yaad kar kar ke bhulana kisi ko yaad kar kar ke bhulana akelepan ki aadat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai sazaye suni suni si hai aise sazaye suni suni si hai aise kahi kuch kho gaya ho apna jaise hum apne aapko bahlaye kaise hum apne aapko bahlaye kaise ye baichaini to rahat nahi haikahi unse mohabbat to nahi hai ye duniya yu to kahne ko wahi hai ye duniya yu to kahne ko wahi hai magar lagta hai ab kuch ajnabi hai na jane kon si isme kami hai na jane kon si isme kami hai hume unki jarurat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai jise samjhe the hum afsana kal tak vo afsana hakikat to nahi hai jo humse dur bhi hai pas bhi hai kahi unse mohabbat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai