Aurat Teri Yahi Kahani Lyrics
sewa tyag shama kurbani sadiyo se hai teri nishani aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani sewa tyag shama kurbani sadiyo se hai teri nishani aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani nafrat ke in andhiyaro me prem ke dip jalaye tu aangan aangan phul khilaye ghar ko svrag banaye tu is duniya ki har basti aabad hai teri hasti se gulshan to gulshan hai virano ko bhi mehkaye tu dhup me tu chhav ban jaye pyas me tu ban jaye pani aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani dharti par duniya ka bojh aurat par bojh mushibat ka hans hanske apno me bante phal tu apni mehnat ka sabka pet bhare aur khud pani pikar so jaye tu kaise karz chukayegi ye duniya teri khidmat ka phir bhi is bedard jaha me teri koi kadar na jane aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani sewa tyag shama kurbani sadiyo se hai teri nishani aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani