Dariya Dil Dariya Dil Lyrics
dip andhero me rahte hai 
  roshni bante rahte hai
  ped dhup khud sahte hai 
  chaw bante rahte hai
  jo gam lekar dete hai khushiya
  dariya dil unhe kahte hai 
  dariya dil dariya dil 
  
  koi na koi chupa hua 
  dukh har sukh ke andar hai
  seva daan hi aisa sukh hai jisme 
  na dukh ka dar hai
  jisme na dukh ka dar hai
  jo gam lekar dete hai khushiya 
  dariya dil unhe kahte hai 
  dariya dil dariya dil 
  
  sagar apne sar par kab 
  ahsan kisi ka leta hai
  leta hai nadiyo se pani to 
  badle me badal deta hai
  badle me badal deta hai
  jo gam lekar dete hai khusiya 
  dariya dil unhe kahte hai 
  dariya dil dariya dil