Wo Kehte Hai Humse, Abhi Umar Nahi Hai Pyar Ki Lyrics
wo kahte hai humse 
  wo kahte hai humse abhi umar nahi hai pyar ki
  nada hai wo kya jane kab kali khili bahar ki

  badli jhuki parwat par bhawre chaman me dole

  bulbul phulo se bole mausam hai milan ka
  mauam hai milan ka ye ghadi nahi takrar ki
  nada hai wo kya jane kab kali khili bahar ki
  wo kahte hai humse 
  
  kamsin ho ya jawa ho jab pyar jagta hai
  kamsin ho ya jawa ho jab pyar jagta hai
  kab umar dekhta hai dil ka jana 
  dil ka jana ye bat nahi ikhtyar ki
  nada hai wo kya jane kab kali khili bahar ki
  wo kahte hai humse 
  
  dharti ke sath ambar chanda ke sath tare

  nadiya ke sang kinare koi nahi tanha
  koi nahi tanha teri kahani sansar ki