Likhungi Mahabharat Naya Lyrics

?duryodhan dussasan ke pap aur niti bhare raj me likhungi mahabharat naya rakt bhare aansuo se aaj main chir haran ka maan bhang ka ma ki vedna bhare chitkar ka, chitkar ka ma ka tan chir ke janme ma ki god me soye ma ki boli pe bole ma ke hi pyar ko roye tumne hi ma ke stan pe shishu mukh ki mohar lagayi ma ke is tan me tumahare liye mamta ki nadi lahrayi lekin tumne bachpan ka sara itihas bhulaya palte rahe jis aanchal me us aanchal ko sarkaya shre ka apmaan karke kiya apmaan ma ke hi pyar ka likhungi mabharat naya rakt bhare aansuo se aaj main chir haran ka maan bhang ka ma ki vedna bhare chitkar ka, chitkar ka ma hone ki bhavna rakhna hi pap ho gaya stri ke liye sara jivan kaise ek shrap ho gaya nari ne har roop me apna sab kuch tum pe wara lekin grahsti ki vastu samajh kar tumne use nihara mat samjho ise marm sthan ye hai tumahara janm sthan manavta ka puny sthan tum bhasna me huye aise andhe ma ko bhi loot liya hai tum wo pashu ho jisne humari sanskriti ka nash kiya hai papi ho tu durachari ho tum papi ho tum vybhchari ho tum kahte ho apne ko manav ho tum manav ke roop me danav ho tum prano ke bhay se kayar purush ki jibbha to khulti nahi hai ma bahan patni ki lazza bacha le ab isme shakti nahi hai kahna hai ye mujhe nari samaj se ma banne ka svapn dekhe na aaj se duryodhan dussasan hi janm lenge khelenge jo wo bahno ki laaz se yun bhrath yuva pidhiya to manav samaj ka kya hoga kya hoga sabhyta ka kya hoga is bharat ka kya hoga