Ek Kahani Nanhe Munne Lyrics
ek kahani nanhe munne bacho tumhe sunani hai na isme mahlo ka raja na pariyo ki rani hai ek kahani nanhe munne bacho tumhe sunani hai na isme mahlo ka raja na pariyo ki rani hai aur na isme chand pe rahne wali budhiya nani hai bolo bacho kya tumne bhi aisi suni kahani hai aisa hi ek kissa aao tumhe sunaye aisa hi ek kissa aao tumhe sunaye kitna bal hai ekta me tumhe bataye kitna bal hai ekta me tumhe bataye kisi jungle me rahta tha ek siyar sath me tha chhota sa uska parivar biwi bacho ke sath rukhi sukhi kha kar kisi tarah se apna din tha raha guzar kabhi kabhi to adhi roti bhi na wo log pate the aasu peekar bhukhe pyase bache yu so jate the bhukh se bachne ka phir usne socha ek upay kisi aur jungle se jakar kyu na roti laye kyu na roti laye yah soch dusre jungle me wo ja pahucha ek bhayanak sher jaha ka tha raja wo bada hi jalim tha sab usse darte the khud bhukhe rah kar bhi jalim ka pet bharte the jurm ke badh jane se sab trahi trahi karne lage jalim ke hatho se jab bemaut bechare mrne lage tab siyar ne sabko bulaya ek rasta unhe dikhaya ekta ka usne sabko aisa hi ek path padhaya uske bad kya hua phir sabne mil kar us jalim ko pal me maar giraya pal me mar giraya or kaha usko na jinda chhod enge hak jiska sabne mara hai har jor jurm ki takkar me sangarsh hamara nara hai sangarsh hamara nara hai sangarsh hamara nara hai