Tu Pahele Kya Thi Lyrics
din badla raat badli sitaare badal gaye badli adaye aur ishare badal gaye chehre badal gaye kahi surat badal gayi najre badal gayi to najare badal gaye dil badle teer badle nishana badal gaya duniya ke rang badle fasana badal gaya lekin tere badalne se badli har ek chiz tu jo badal gayi to jamana badal gaya sochna kya us ghadi ka jo gayi jo gayi jo gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi kal lutte the tujhko lutere kitne hi jalim dushman the tere ijjat ke daaku rehte the ghere charo taraf the gum ke andhere har ek najar ek mithi chhuri thi har aadmi ki niyat buri thi wo lutte the rup ka sona jinke liye thi naari khilona padne laga jab laaj pe daaka wo banke uthi ek dhamaka kal tak thi tu ek harni jaisi aaj lage tu sherni jaisi khub ye tune badla hai chola kal tak thi shabnam aaj hai shola kaap utha har katil kamina rupa bani jab daaku hasina tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi najar ke samne mata pita ka khun hua jawani lut gayi sharmohaya ka khun hua samaaj chup raha mardo ke beusuli par latkati reh gayi tu wasna ki suli par dulhan na ban saki par dulhano ke kaam aayi teri wajah se baji kitne ghar mein shehnai ae sherni teri shero pe hukm rani hai har ek julm tere aage sab pani pani hai wo sach ke tej ko sholo pe jake leti hai kaushalya hawwa yashoda ki wo bhi beti hai yahi paigambaro avtaro ko bhi janti hai ye surmaao ki veero ki maa bhi banti hai ye sita parvati hai yahi to radha hai ye lakshmi hai ye maryam hai ye sulekha hai inhi ka daudta hai khun teri nas nas mein tu rajwali hai raj hai tere bas mein tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tera nishana sachcha nishana darta hai tujhse sara jamana shero ke jaisa tera jigar hai bijli ke jaisi teri najar hai mardo se tune haq apna chhina charche hai tere ghar ghar hasina kya iska rona jo kho chuka hai wo ab na hoga jo ho chuka hai kyunki tipu sultan ki lalkar tu hai aur shivaji ki talvar tu hai bhole shankar ka trishul hai tu aur tu hai bhavani ki maala tu bhagatsingh ki pistol bhi hai ranapratap ka tu hai bhala lakshmibai ki shaan tu hai sherowali ka vardan tu hai nur hai tere dil mein khuda ka khauf tujhko nahi hai kaja ka pyar mamta ki tasvir hai tu jane kitno ki takdir hai tu naam sunkar tera ae hasina putli fulal ko aaya pasina pasina are tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi