Dushman Hai Sab Ki Jaan Ki Aur Sab Ki Jaan Hai Lyrics

dushman hai sabki jaan ki aur sab ki jaan hai kahte hai jisko roti badi baiman hai kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya tufan kaise kaise uthati hai rotiya katil se pehle kattle karati hai rotiya aakhir me usko fansi chadhati hai rotiya do gaj zami se uncha uthati hai rotiya kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya duniya ki har burayi me roti ka hath hai besharmi behayai me roti ka hath hai mazlum ki duhayi me roti ka hath hai muflish ki jag hansayi me roti ka hath hai insaniyat ko nanga banati hai rotiya kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya roti se chalte hai duniya ke kaam kaz roti se barkarar hai shaho ke takhattaz roti hi yaro karti hai sare jaha pe raaz roti se hai ye husn ke bazar ye samaj kothe pe nariyo ko nachati hai rotiya kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya roti ke sab diwane hai kya pir kya jawa roti hai aisa tir ke jiski nahi kaman roti lagaye zakham to milta nahi nisha chhoti si roti rutbe me saitan ki hai ma iman ko bhi chhalni banati hai rotiya kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya roti hi lene aaya tha changej khan idhar darda halaku iske liye ghume dra badar hitler bhi ne na payi jab ye roti pet bhar khandar bana ke chhod gaya guzra wo jidhar kuch is tarha se aag lagati hai rotiya kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya jannat se is roti ne aadam ko nikala dozakh me isi ke dam se hua ujala nagin ye dase jisko uska nahi sambhala pani bhi nahi mang sake mangne wala hum khate hai ya humko hi khati hai rotiya kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya achhe bhale insan ko ye roti bech de do kodi me imaan ko ye roti bech de allah ke farman ko ye roti bech de aa jaye to bhagwan ko ye roti bech de har chij ka bazar lagati hai rotiya kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya rotiya rotiya