Gyan Ka Daan Hi Sabse Bada Hai Lyrics
gyan ka daan hi sabse bada hai jise koi na lute 

  gyan ka rishta saccha rishta
  gyan ka rishta saccha rishta baki rishte jhuthe 
  jo gyan daan de jata hai, wo jag mein amar kahlata hai 
  jo gyan daan de jata hai
  
  agyani ka jivan jaise sip bina moti ke
  ghar ghar mein sab deep jalaye gyan ke hi jyoti ke 
  apne liye guru vidhata hai, jo jag mein amar kahlata hai 
  apne liye guru vidhata hai, jo jag mein amar kahlata hai 
  jo gyan daan de jata hai, wo jag mein amar kahlata hai 
  jo gyan daan de jata hai
  
  sab dharmo ka palan kije manavta kahti hai
  kisi ek ki nahi ye ganga sab ke liye bahti hai 
  ye jal jivan mahakata hai aur man paavan ho jata hai 
  ye jal jivan mahakata hai aur man paavan ho jata hai 
  jo gyan daan de jata hai, wo jag mein amar kahlata hai 
  jo gyan daan de jata hai
  
  unka jina kya jina jo apne liye jiye hai 
  ek duje ke sukhdukh baate ek duje ke liye hai 
  jo auro ke kaam aata hai wo jivan ke sukh pata hai 
  jo auro ke kaam aata hai wo jivan ke sukh pata hai 
  gyan ka daan hi sabse bada hai jise koi na lute 
  gyan ka rishta saccha rishta baki rishte jhuthe 
  jo gyan daan de jata hai, wo jag mein amar kahlata hai 
  jo gyan daan de jata hai
  
  mali ke jaane se gulshan suna ho jayega 
  lekin har bahaar ka mausam rang naye layega 
  koi aata hai koi jata hai, yu waqt gujarta jata hai 