Ye Daulat Bhi Le Lo (Woh Kagaz Ki Kashti) Lyrics
ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
  bhale chhin lo mujhse meri jawaani
  magar mujhko lauta do bachpan ka sawan
  wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani
  wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani
  
  mohalle ki sabse nishani purani
  wo budhiya jise bache kahte the nani
  wo nani ki baato mein pariyo ka dera
  wo chehre ki jhuriya mein sadiyo ka phera
  bhulaye nahi bhul sakta hain koi 
  bhulaye nahi bhul sakta hain koi 
  wo chhoti si raate wo lambi kahani
  wo chhoti si raate wo lambi kahani
  
  kadi dhup me apne ghar se nikalna
  wo chidiya wo bulbul wo titli pakadna
  wo gudiya ki shadi pe ladna jhagdna
  wo jhulo se girna wo gir ke sambhalna
  wo pipal ke chhalo ke pyare se tohfe
  wo pipal ke chhalo ke pyare se tohfe
  wo tuti huyi chudiyo ki nishani
  wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani
  wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani
  wo kagaj ki kashti, wo barish ka pani
                            
                            
                        