Pehchanna Hai Mushkil Lyrics

pahchanna hai mushkil, papi hai ye farishte lagte hai phir bhi pyare inke ajib rishte chehre bigad gaye hai, darpan ke tutne se rishte bikhar gaye hai, bandhan ke tutne se tufan aa chuka hai, yaade samette hai jane se pahle raahi, sapne lapette hai parda utha raha hai, gujra hua zamana sabko yaha mila tha, jeene ka ek bahana ye raahi chalte chalte, raaho me kho gaye the kuch der ke liye sab, diwane ho gaye the is mod pe hai suraj, us mod pe hai saya inme hai kaun apna, koi samajh na paya benam raaste hai nakshe kadam hai dhundhle ummed ke sahare raahi safar pe nikle ghabra gaya agar dil, tanhai sath degi kirne na degi thak ke, hatho me hath degi khoya jo koi raahi, bhagwan dhundh lega bhagwan kho gaya to, insan dhundh lega insan dhundh lega aawaz de raha hai shayad koi kahi se tuta nahi hai rishta insa ka jami se