Tu Nischay To Kar Lyrics
tu nischay to kar kadam to utha nikal aayega koi raasta durachariyon par, durachariyon par tu shri krishn ban kar sudershan chala tu nischay to kar kadam to utha nikal aayega koi raasta kadam to utha sanskaar pade jisme jaise vo aachran karega waise jiski jaisi sangat hogi uski waisi rangat hogi nij ichha se kuch nahi hota har koi karm ka bojh dhota nij ichha se kuch nahi hota har koi karm ka bojh dhota ye ishwar hi jaane, ye ishwar hi jaane kiske karm me kya hai likha tu nischay to kar kadam to utha nikal aayega koi raasta kadam to utha badle ki is aag me jalke rakh de har papi ko badal ke pag pag jaalim ghar ghar kaatil kya unki pahchaan hai mushkil sare jag me paap hai faila kam jayda har aanchal maila sare jag me paap hai faila kam jayda har aanchal maila do char namo ke, do char namo ke do char chehro ke pichhe na ja tu nischay to kar kadam to utha nikal aayega koi raasta durachariyon par, durachariyon par tu shri krishn ban kar sudershan chala tu nischay to kar kadam to utha nikal aayega koi raasta kadam to utha dharm karam ke aad me bande rachte hai kaise gorakh dhandhe mandir aur aashram banwaate ram rahim ke naam pe khaate kaun hai dushman, kaun hai pyaare janmo ke sanjog hai saare kaun hai dushman, kaun hai pyaare janmo ke sanjog hai saare ye lena dena, ye lena dena ye pana ye khona nahi hai naya tu nischay to kar kadam to utha nikal aayega koi raasta kadam to utha samjh na paaye ye man bhola mar ke kewal badle chola koi kisi se neki karta jaane kab ka karja bharta maanav pashu dete hai dikhaai pashuo me manavta paayi maanav pashu dete hai dikhaai pashuo me manavta paayi kiya tyaag jisne, kiya tyaag jisne vo koi ho jag me amar ho gaye tu nischay to kar kadam to utha nikal aayega koi raasta durachariyon par, durachariyon par tu shri krishn ban kar sudershan chala tu nischay to kar kadam to utha nikal aayega koi raasta kadam to utha