Baita Hun Raho Me Lyrics
ya habibi ya habibi ya habibi 
  mai baitha hu raho me aankhe bichaye
  fariste masarrat ka paygam laye
  mohabbat chali hai mohabbat se milne
  kaho maut se jindagi ban ke aaye
  tamanna thi jiski wo din aa gaya hai
  mere saaz-e-dil ki yahi ab sada hai
  mohabbat khuda hai, mohabbat khuda hai
  mohabbat khuda hai, mohabbat khuda hai
  
  kahta hai koi dil gaya dilbar chala gaya
  saahil pukarta hai samundar chala gaya
  lekin jo baat sach hai kahta nahi koi
  dunia se dosti ka payambar chala gaya
  
  kahu kya mohabbat me kya maine paya
  ummido se bhi kuch siwa maine paya
  khudi ki hade mil gayi bekhudi se
  teri aarzu me khuda maine paya
  khuda maine paya
  jidhar dekha tu tera samna hai
  mere saaz-e-dil ki yahi ab sada hai
  mohabbat khuda hai, mohabbat khuda hai
  mohabbat khuda hai, mohabbat khuda hai
                            
                            
                        