Chanda Suraj Ki Jyoti Ban Lyrics

chanda suraj ki jyoti ban chamak rahe aaksah me krishan sudama jaisi koi katha nahi itihas me amar mitrta ki misaal hum kahi na pate hai amar mitrta ki misaal hum kahi na pate hai krishan sudama ke jivan ki jhalak dikhate hai sudama din hin kangal krishan dukhiyo ke din dayal amar mitrta ki misaal hum kahi na pate hai o krishan sudama ke jivan ki jhalak dikhate hai sudama din hin kangal krishan dukhiyo ke din dayal janam liya bhagwan krishan ke kans ke karagar me palne lage nand ke aangan maa yashoda ke pyar me idhar sudama janma jis par ghiri ghataye kaali thi aankh khuli balak ki to mata ne aankh phira li thi idhar krishan jis par sare gokul ka pyar barasta tha udhar sudama ek bund pane ko pyar tarasta tha phir kanha ko kuntil kans ne chhal se mathura bulvaya jaha prabhu ne pal bhar me yamlok nich ko pahunchaya din sudama jiske mukh par divay gyan ka deep jale guru saandip ne sang use lekar aashram ki or chale aur udhar balram krishan bhi gurukul jate hai krishan sudama ke jivan ki jhalak dikhate hai amar mitrta ki misaal hum kahi na pate hai o krishan sudama ke jivan ki jhalak dikhate hai sudama din hin kangal krishan dukhiyo ke din dayal sudama din hin kangal krishan dukhiyo ke din dayal