Mana Ke Muste Khaak Se Lyrics
maana ke musht-e-khak se badh kar nahi hu mai
  lekin hawa ke rehmo-karam par nahi hu mai
  
  insaan hu dhadkte huye dil par haath rakh
  yu doob kar na dekh samandar nahi hu mai
  
  chehre pe mal raha hu siyaahi naseeb ki
  aaiya haath me hai sikandar nahi hu mai
  
  ghalib tere zameen me likhi to hai ghazal
  tere kad-e-sukhan ke baraabar nahi hu mai
                            
                            
                        