Ek Tha Banjara, Ek Thi Shahjadi Lyrics

isi jagha is khandar me ha is ujde virane me kahte hai milte the do diwane kisi zamane me ek tha banjara, ek thi shehajadi ek tha banjara, ek thi shehajadi un dono ki prem kahani un dono ki prem kahani kahti hai ye wadi ek tha banjara, ek thi shehajadi kaise unka mail huya kismat ka ye khel huya ek dafa vo banjara mahal ke raste se gujra gana banjaro ki rit usne chheda koi geet jab uski aawaz sune tadap uthi bas shehjadi usne hukam diya hajir ho usne hukam diya hajir ho kon hai ye fariyadi ek tha banjara, ek thi shehajadi shehjadi ka sunkar naam banjare ne kiya salam ulfat kar gayi apna kam dil ne dil ko diya paiyam sach kahte hai sare log bahut bura hai prem ka rog ye jisko lag jata hai cahin use kab aata hai banjare ne shehjadi ke banjare ne shehjadi ke dil me aag laga di ek tha banjara, ek thi shehajadi o hire moti lekar sath shehjadi aayi ek rat kahne lagi mai hu taiyar chhod diya maine ghar bar banjare ne kaha nahi hire moti phenko yahi pyar me jina marna hai daulat ka kya karna hai pyar ne pal me duniya ki pyar ne pal me duniya ki unchi diwar gira di ek tha banjara, ek thi shehajadi un dono ki prem kahani kahti hai ye wadi ek tha banjara, ek thi shehajadi