Chalati Chali Jaaye Zindagi Ki Dagar, Dur Kaa Raahi Lyrics
chalti chali jaaye, zindagi ki dagar
  kabhi khatm na ho, ye safar
  manzil ki use, kuchh bhi na khabar
  phir bhi chala jaye, dur ka raahi
  dur ka raahi
  chalti chali jaaye, zindagi ki dagar
  kabhi khatm na ho, ye safar
  manzil ki use, kuchh bhi na khabar
  phir bhi chala jaye, dur ka raahi
  dur ka raahi
  
  mud ke na dekhe, kuchh bhi na bole
  bhed apne dil ka, raahi na khole
  aaya kahan se, kis desh ka hai
  koi na jane, kya  dhudhata hai
  manzil ki use, kuchh bhi na khabar
  phir bhi chala jaye, dur ka raahi
  dur ka raahi, dur ka raahi
  
  jhalke na kuchh bhi, asha nirasha
  kya koi samjhe, nainon ki bhashha
  chehra ki jaise, kora safa hai
  kismat ne jis par, kuchh na likha hai
  manzil ki use, kuchh bhi na khabar
  phir bhi chala jaye, dur ka raahi
  dur ka raahi, dur ka raahi
                            
                            
                        