Suraj Chanda Lyrics
suraj chanda sagar parwat sab hai pehle jaise suraj chanda sagar parwat sab hai pehle jaise is dharti par rehne wale log badal gaye kaise suraj chanda sagar parwat ganga jamna aaj bhi sabki pyas bujhati jaye mast hwaye pyar ke mithe git sunati jaye ye jivan hai amrit jaisa zahar bana ye kaise suraj chanda sagar parwat sach kahne sunne walo ne jhut kaha se sikhe pada odhake inderdhanus ke rang pade kyu fike ram ke desh me aaye kaha se papi ravan jaise suraj chanda sagar parwat is lalach me insano ki niyat ho gayi khoti sat samandra wali duniya ho gayi kitni chhoti dhup ke sath samandar ho gaye pyase sehra jaise suraj chanda sagar parwat sab hai pehle jaise is dharti par rehne wale log badal gaye kaise suraj chanda sagar parwat