Suno Suno Suno Meree Jubanee Lyrics
suno suno suno meri jubani, suno suno suno amar kahani aate hain ji jate hain ji, kaun aate hain iss dharati par kabhi kabhi aise log bhi aate hain rehti duniya tak jo apna naam amar kar jate hain suno suno suno meri jubani, suno suno suno amar kahani attharah sau sattavan ka jamana yad karo, jamana yad karo british jalimo ka fasana yad karo, fasana yad karo firangi ne aate jate hamla kiya aisa khun hamara hokar pani bah sakta hai kaise hame kayar samajh kar fauj unaki iss tarah tuti kunvari kya suhagan kya sabhi ki aabru luti ek vir dharmaraj talvar le ke aaya woh bharat maa ka beta samane aaya kuda woh maidan me lekar nyay ki talvar dher ho gayi ret jaise dushman ki divar toh kya videshi dum dabakar bhag gaye bhage nahi haar gaye hare huye sipahi par gora afasar baras pada aur kaha samane se nahi toh pith me chhuri maaro jit ki khushi me soye huye insan par firangi sipahio ne hamla kar diya firangio ne pichhe se unko aise pakda bade dhokhe se aakar sher ko janjiro me jakda ghana woh ped jo deta tha sare ganv ko chhaya usi pe phansi dene ko dharmaraj ko latakaya shahid toh mar ke bhi jite rehte hain isiliye toh amar unako log kehte hain kate huye iss ped ko dekho gadi hai jo talvar abb tak isme baki hai aajadi ki jhankar