O Patthar Ke Insan Lyrics
o patthar ke insaan o nitivaan insaan mamta ka rang maidaan jivan shataranj samaan tune apne gharvaale mohre bana daale tune apne gharvaale mohre bana daale tera dharm to jit gaya tere paas bacha ab kya band karo ye vaad vivaad kaha sikha hai ye tark vitark mai us kul kaa jisame huaa hai sada dharm ka paalan aadarsho ke saath badha hai mera saara jivan mere dharm ki saaxi meri jivan saathi ye tumhe batlaayegi laaghi maine laxman rekha badala nasib mera vachan pati ka patni ko gita isase bach na saki koyi sita tera ye vyavahaar kya nyay pe nahi prahaar, nahi nahi mamta ka rang maidaan jivan shataranj samaan tune apne gharvaale mohre bana daale dharmapith mere ghar se chali mere purkho ki ye de saty dharm so jaaye bhale soye na mere nain mere nayano ke samaan ye meri santaan karegi mera bakhaan janmi mai phul banke rah gayi mai shul banake pita mere parameshvar jaise niti badalegi kaise man roye nain muskaaye kya mar gaya tera nyay, nahi nahi mamta ka rang maidaan jivan shataranj samaan tune apne gharvaale mohre bana daale tera dharm to jit gaya tere paas bacha ab kya