Bhaiyaa Mere Fauji Re Lyrics
hamar fauji hai hamar bhaiya bhaiya mere fauji re 
  re bhaiya mere fauji re
  tohe fauj me rona tha tohe fauj me rona tha
  to kahe laya bhauji re ho tu hai manmauji re
  tohe sidha karne ko tohe sidha karne ko
  mai laya teri bhauji re mai laya teri bhauji re
  
  tumhare jatan se hamne ye angana paya
  tumhare jatan se hamne ye angana paya
  jiwan bhar na utrega tumne jo karz chadaya
  jiwan bhar na utrega tumne jo karz chadaya
  likhe hue nate hai sab likhe hue nate hai
  kuch log milane ka ho kuch log milane ka
  bahana ban jate hai bahana ban jate hai
  
  is angana me bani rahe tulsi ki chaya
  is angana me bani rahe tulsi ki chaya
  bhauji tumne to do hi din me palti ghar ki kaya 
  bhauji tumne to do hi din me palti ghar ki kaya
  man yahi mange parbhu se man yahi mange parbhu se
  ram lakshman ki jodi ko dono bhaiyo ki jodi ko
  najar nahi lage re najar nahi lage re
  
  bhaiya o bhaiya bhauji ko na bisrana
  bhaiya o bhaiya bhauji ko na bisrana
  dusman ki chhuti karke tum jaldi ghar aa jana
  dusman ki chhuti karke tum jaldi ghar aa jana
  hame ab kya dar hai hame ab kya dar hai
  jab bhauji ki raksha ko jab bhauji ki raksha ko
  re tere jaisa dewar hai re tere jaisa dewar hai
  sara jag apna hai sara jag apna hai
  par un ko na tarsana par un ko na tarsana
  jin akho ka tu sapna hai jin akho ka tu sapna hai
                            
                            
                        