Noor Ke Saanche Me Bhagwan Lyrics
nur ke saanche me bhagwaan ne dhala hai tujhe aur insaan ne ji jaan se pala hai tujhe jism ke chhute hi jajbaat sulag jaate hai aag me daal ke jaise ki nikala hai tujhe mujhko chhuna nahi mujhko chhuna nahi hath jal jaayega mujhko chhuna nahi hath jal jaayega mujhko ae manchale tu laga na gale mujhko ae manchale tu laga na gale husn ki aag me ishq jal jaayega mujhko chhuna nahi hath jal jaayega mujhko chhuna nahi hath jal jaayega husn diwaane se kehta hai, sambhalne ke liye ishq taiyaar nahi raaye badlne ke liye tu mohabbat ki hasin maut se mujhko na dara paida parwana hua shamma pe jalne ke liye jaaneman jid ki zanzeer ko tod de dil ke tufaan ka rukh udhar mod de jindgi ke tapedo se waakif hun main meri kishti kinaare pe hi chhod de maan ja besabr, tang jyada na kar maan ja besabr, tang jyada na kar pyaar kam bhi hua to bhi chal jaayega mujhko chhuna nahi hath jal jaayega mujhko chhuna nahi hath jal jaayega jo bhi kamzarf hai, kam pyaar kiya karte hai ahl-e-dil jaan talak vaar diya karte hai pyaas bujhti nahi saahil pe khade rehne se dub ke dariya me hum pani piya karte hai teri inhi adaao pe marti hun main teri chahat pe bhi naaz karti hun main khud ko tere hawale to kar dun magar soch kar uska anjaam darti hun main ae sanam josh me le na aagosh me ae sanam josh me le na aagosh me aanch khaate hi shisha pighal jaayega mujhko chhuna nahi