Aavaaz Di Hai Aaj Ik Nazar Ne, Yaa Hai Ye Dil Ko Gumaan Lyrics
avaz di hai aaj ik nazar ne ya hai ye dil ko guman
  dohara rahi hai jaise fazaye bhuli hui dastan 
  avaz di hai aaj ek nazar ne ya hai ye dil ko guman
  dohara rahi hai jaise fazaye bhuli hui dasta 
  
  lout aai hai fir ruthi bhare kitna hasi hai sama
  duniya se kah do na hamko pukare hum kho gaye hai yaha
  lout aai hai fir ruthi bhare kitna hasi hai sama
  duniya se kah do na hamko pukare hum kho gaye hai yaha
  
  jivan me kitni viraniyan thi chhayi thi kaisi udasi
  sunakar kisi ke kadmo ki ahat halchal hui hai zara si 
  jivan me kitni viraniyan thi chhayi thi kaisi udasi
  sunakar kisi ke kadmo ki ahat halchal hui hai zara si
  sagar me jaise lahare uthi hai tuti hai khamoshiya
  dohara rahi hai jaise fazaye bhuli hui dastan 
  
  tufan me khoyi kashti ko akhir mil hi gaya phir kinara
  ham chhod  aye khwabo ki duniya dil ne tere jab pukara 
  tufan me khoyi kashti ko akhir mil hi gaya phir kinara
  ham chhod  aye khwabo ki duniya dil ne tere jab pukara
  kabase khadi thi bahe pasare is dil ki tanhaiya
  duniya se kah do na ham ko pukare ham kho gaye hai yaha 
  
  ab yad aya kitna adhura ab tak tha dil ka fasana
  yu pass ake dil me samake daman na hamse chhudana 
  ab yad aya kitna adhura ab tak tha dil ka fasana
  yu pas ake dil me samake daman na hamse chhudana 
  
  jin rasto par tere kadam ho maajil hai meri vaha 
  duniya se kah do na ham ko pukare ham kho gaye hai yaha
                            
                            
                        