Nawaazish Karam Shukriyaa Meharabaani Lyrics
nawazish karam shukriya meharbani
  nawazish karam shukriya meharbani
  nawazish karam shukriya meharbani
  mujhe bakhsh di aapne zindagaani
  nawazish karam shukriya meharbani
  nawazish karam shukriya meharbani
  
  jawani ki jalti hui dopahar me
  ye julfo ke saye ghanere ghanere
  ajab dhup chhanv ka aalam hai taari
  mahkta ujala chamakte andhere
  zami ki faza ho gayi aasmani
  nawazish karam shukriya meharbani
  mujhe bakhsh di aapne zindagaani
  nawazish karam shukriya meharbani
  
  labo ki ye kaliya khili adh khili si
  ye makhnur aankhe gulabi gulabi
  badan kaa ye kundan sunaharaa sunaharaa
  ye kad hai ki chhuti huyi maahtabi
  humesha salamat rahe ye jawani
  nawazish karam shukriya meharbani
  mujhe bakhsh di aapne zindagaani
  nawazish karam shukriya meharbani
  
  ye lahra ke chalne ki jaalim adaye
  fizao me shokhi ghuli ja rahi hai
  najar jis taraf bhi uthai hai tumne
  udhar ek bijli giri ja rahi hai
  jise dekh lo tum na maange wo pani
  nawazish karam shukriya meharbani
  mujhe bakhsh di aapne zindagaani
  nawazish karam shukriya meharbani
  nawazish karam shukriya meharbani
  nawazish karam shukriya meharbani