Kuch Humko Tumhse Kehna To Hai Lyrics
kuch humko kuch tumko kuch humko kuch tumko
  kuch humko tumse kahna to hai kuch tumko humse kahna to hai
  alag alag kuch bhi kahna nahi alag alag ab humko rahna nahi
  kuch humko kuch tumko
  kuch humko tumse kahna to hai kuch tumko humse kahna to hai
  alag alag kuch bhi kahna nahi alag alag ab humko rahna nahi
  kuch humko kuch tumko kuch humko tumse kahna to hai
  
  aao chalo baito milke soche
  aao chalo baito milke soche hal koi apni muskil ka khoje
  samajho ki hum do sagar ki mauje
  sagar me tumko bahna to hai sagar me humko bahna to hai
  alag alag hokar bahna nahi alag alag ab humko rahna nahi
  kuch humko kuch tumko kuch humko tumse kahna to hai
  
  jhoka pawan paani ka rela
  jhoka pawan paani ka rela pritam bina man panchi akela
  jivan hai kya ek sukh dukh ka mela
  ho humko ye sukh dukh sahna to hai
  ho tumko ye sukh dukh sahna to hai
  alag alag magar kuch sehna nahi alag alag ab humko rahna nahi
  kuch humko kuch tumko kuch humko tumse kahna to hai
  
  chanda ka deepak suraj ki batti
  chanda ka deepak suraj ki batti ye roshani to hai aati jati
  din raat ke hum dono hai sathi
  o logo ka aisa kahna to hai din se juda ye raina to hai
  alag alag din aur raina nahi alag alag ab humko rahna nahi
  kuch humko kuch tumko
  kuch humko tumse kahna to hai kuch tumko humse kahna to hai
  alag alag kuch bhi kahna nahi alag alag ab humko rahna nahi
  kuch humko kuch tumko
                            
                            
                        