Ek Purana Gaon Tha Lyrics
?ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  thake samay ki chhati par 
  ek bada sa ghab tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  
  sau do sau ki basti thi 
  chuppi waha ki masti thi 
  jeena chahe manhga ho 
  par maut bahut hi sasti thi 
  chahe kitna bhi tairaao 
  wo patthar ki naav tha 
  chahe kitna bhi tairaao 
  wo patthar ki naav tha 
  wo patthar ki naav tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  
  rog waha par rahte the 
  jivan ka dukh sahte the 
  malik jiasa kahta tha 
  waisa hi wo karte the 
  waha na thoda kuch bhi badla 
  dharmaraj ka gaon tha 
  waha na thoda kuch bhi badla 
  dharmaraj ka gaon tha 
  dharmaraj ka gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  
  tha patel waha ka raja 
  take sher bhaji take sher khaja 
  char chironji hara bahera 
  thaka thaka sa chahra chahra 
  waha panpta kuch bhi kaise 
  wo bargad ki chaon tha 
  waha panpta kuch bhi kaise 
  wo bargad ki chaon tha 
  wo bargad ki chaon tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  thake samay ki chati par 
  ek bada sa ghab tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha 
  ek purana gaon tha
                            
                            
                        