Shyam Salone Samne Aao Lyrics

jaat paat puchhe na koi hari ko bhaje so hari ka hoi shyam salone samne aao shyam salone samne aao darshan dekar laaj bachao darshan dekar laaj bachao shyam salone samne aao murat bin mandir hai suna pran bina jo kaya murat bin mandir hai suna pran bina jo kaya aisi bhool bhayi kya mose mukhda tumne chhupaya in akhiyan ki, in akhiyan ki pyaas bujhao, pyaas bujhao shyam salone samne aao shyam salone samne aao mor mukut mukhda man bhavan adhar murliya sohe nat nagar ka roop suhavan nat nagar ka roop suhavan bhagtan ka man mohe murli manohar dars dikhao, dars dikhao shyam salone samne aao shyam salone samne aao unch nich ka bhed bhaav kya tum bhi ab karte ho unch nich ka bhed bhaav kya tum bhi ab karte ho duniya jise bada samjhe uski jholi bharte ho badal gaye kyun, badal gaye kyun mujhko bataao, mujhko bataao shyam salone samne aao shyam salone samne aao sunte hai dukhiya jo tumhe pukaare dur ho pal me uske dukhde saare apno ko itna bhi nahi rulaao ek baar phir prem ki bansi bajaao bhed bhaav ko is duniya se mitaao andhiyare me phir prakash failao chhupe kaha ho chhupe kaha ho ab to samne aao samne aao, samne aao