Pyar Me Hum Se Tum Lyrics
pyaar me, pyaar me
  pyaar me humse tum jaane kya kah gaye
  rang bhari vaadiyon me phul jaise khil gaye
  mere yaar pyaar kar, mere yaar pyaar kar
  hum idhar, hum idhar
  hum idhar kho gaye tum udhar kho gaye
  dil se dil yun mile hum ek ho gaye
  etbaar yaar kar, etbaar yaar kar
  pyaar me, pyaar me
  
  do dilo ka ye milan dekhta hai ye gagan
  jhumti hai ye zamin, hans raha hai ye chaman
  do dilo ka ye milan dekhta hai ye gagan
  jhumti hai ye zamin, hans raha hai ye chaman
  kyu ho pareshaan tum
  kyu ho pareshaan tum aisi bhi kya baat hai
  hum tumhaare hai sanam ye janmo ka saath hai
  intzaar yaar kar, intzaar yaar kar
  pyaar me, pyaar me
  
  khwaab ban ke aaye the aaj hakikat bane
  jisme do the hum magar aaj ek jaa bane
  khwaab ban ke aaye the aaj hakikat bane
  jisme do the hum magar aaj ek jaa bane
  tu hai saaz pyaar ka
  tu hai saaz pyaar ka main teri aawaz hun
  tu hai meri raazda, main tera humraaz hun
  bekaar yun na kar, bekaar yun na kar
  pyaar me, pyaar me
  
  aao tum sang chalo is jaha se na daro
  ye hai umar pyaar ki, aise aanhe na bharo
  aao tum sang chalo is jaha se na daro
  ye hai umar pyaar ki, aise aanhe na bharo
  tum ho mere humsafar
  tum ho mere humsafar, dar hai kis baat ka
  saath jiye sath mare wada raha aaj ka
  etbaar yaar kar, etbaar yaar kar
  pyaar me, pyaar me
  pyaar me humse tum jaane kya kah gaye
  rang bhari vaadiyon me phul jaise khil gaye
  mere yaar pyaar kar, mere yaar pyaar kar
  hum idhar, hum idhar
  hum idhar kho gaye tum udhar kho gaye
  dil se dil yun mile hum ek ho gaye
  etbaar yaar kar, etbaar yaar kar
                            
                            
                        