Nafarat Ki Ek Hi Thokar Ne Ye, Kya Se Kya Kar Dala Re Lyrics

jise banaya tha data ne dharti ka wardan re jise banaya tha mali ne sach much hi insan re nafrat ki ek hi thokar ne ye kya se kya kar dala re ye kya se kya kar dala re kya se kya kar dala apne hi lahu ka pyasa hai apne hi lahu ka pyasa hai nafrat ko mitane wala re nafrat ko mitane wala re kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne makhan ki rah jiska man tha fagun ki tarah jo khilta tha sawan ki tarah jo chalta tha badal ki tarah jo lipatta tha barud ne aise fariste ko barud ne ha fariste ko rang dala kitna kala re rang dala kitna kala re kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne ye apna paraya bhul gaya ye apna paraya bhul gaya bas khun ki holi yaad rahi ise khun ki holi yaad rahi dulhan ka dola bhul gaya dulhan ka dola bhul gaya bas maut ki soli yaad rahi ise bas maut ki soli yaad rahi awtar fariste bhul gaya awtar fariste bhul gaya nafrat ko mitane wala re nafrat ko mitane wala re ye kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne insan ke yahi agar tewar hai to pyar ka akhir kya hoga insan pe dharti mata ke upkar ka akhir kya hoga ab kaun hai malik tere siwa ab kaun hai malik tere siwa is dunia ka rakhwala re is dunia ka rakhwala re nafrat ki ek hi thokar ne ye kya se kya kar dala re ye kya se kya kar dala re kya se kya kar dala re