Firte Hai Kab Se Darbadar Lyrics
firte hai kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
  ek dusre ke humsafar mai or meri aawargi
  na aas na har rehgujar na meharba sabki nazar
  jaye to ab jaye kidhar main or meri aawargi
  firte hai kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
  
  ek din mili ek mehjabi tan bhi hansi jaan bhi hansi
  dil ne kaha humse wahi khwabo ki hai manjil yahin
  khwabo ki hai manzil yahi
  fir yun hawa wo kho gayi fir mujhko zid si ho gayi
  layenge usko dhund kar main or meri aawargi
  firte hain kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
  
  ye dil hi tha jo seh gaya jo baat aisi keh gaya
  kehne ko fir kya reh gaya ashkon ka dariya beh gaya
  ashko ka dariya beh gaya
  jab keh ke wo dilbar gaya tere liye main mar gaya
  rote hain usko raat bhar main or meri aawargi
  firte hain kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
  
  hum bhi kabhi aabad the aise kahan barbad the
  befikar the azad the mashur the dilshad the
  mashur the dilshad the
  wo chal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gaya
  nikle jalake apna ghar main or meri aawargi
  firte hain kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
  ek dusre ke humsafar main or meri aawargi
  firte hain kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
                            
                            
                        