Abhimanyu Chakravyuh Men Phans Gayaa Hai Tu Lyrics
abhimanyu abhimanyu
  abhimanyu chakravyuh me phas gaya hai tu
  abhimanyu chakravyuh me phas gaya hai tu
  sambhal sake to sambhal nikal sake to nikal
  dushmano ke jaal se dosto ki chaal se
  sambhal sake to sambhal nikal sake to nikal
  
  ye khudgarz darinde hai inko kuch ehsas nahi
  ashko se bujhne vaali inke dil ki pyaas nahi
  ye piyege tera lahu 
  abhimanyu chakravyuh me phas gaya hai tu
  
  bhul bhulaiyo ke jaise tere gird lakire hai
  hotho par hai pehre to pairo me zanzire hai
  mushkile khadi hai chaar su
  abhimanyu chakravyuh me phas gaya hai tu
  
  o bhole bhaale pakshi kaid se kaise chutega
  sar takra le kuch kar le ye pinjra na tutega
  ladne ki tu na kar aarzu
  abhimanyu chakravyuh me phas gaya hai tu
                            
                            
                        