Na Ho Gar Aashia Nahi Hota Lyrics
na ho gar aashna nahi hota 
  na ho gar aashna nahi hota
  but kisi ka khuda nahi hota
  na ho gar aashna nahi hota
  
  tum bhi us waqt yaad aate ho
  tum bhi us waqt yaad aate ho
  jab koi aasraa nahi hota
  jab koi aasraa nahi hota
  na ho gar aashna nahi hota
  
  dil me kitna sukun hota hai
  dil me kitna sukun hota hai
  jab koi muddawa nahi hota
  jab koi muddawa nahi hota
  na ho gar aashna nahi hota
  
  ho na jab tak shikar-e-naakami
  ho na jab tak shikar-e-naakami
  aadmi kaam ka nahi hota
  aadmi kaam ka nahi hota
  na ho gar aashna nahi hota
  
  zindagi thi shabaab tak seemab
  zindagi thi shabaab tak seemab
  ab koi saaneha nahi hota
  ab koi saaneha nahi hota
  na ho gar aashna nahi hota
                            
                            
                        