Yeh Baat Hai Bilkul Sachchi Lyrics
o data tu sab kuch jane
  ye baat hai bilkul sacchi
  koi mane ya na mane
  o kis par kya kya biti data
  tu sab kuch jane, tu sab kuch jane
  ye baat hai bilkul sacchi
  koi mane ya na mane
  o kis par kya kya biti data
  tu sab kuch jane, tu sab kuch jane
  
  na hai mere pass puja ka puja ki thali
  main to khali hath hu aayi
  tere dar par banmali
  layi hu main tere liye bas
  layi hu main tere liye bas
  aansu ke kuch dane
  kis par kya kya biti data
  tu sab kuch jaane, tu sab kuch jane
  
  bhagwan teri koi beti roti akele me
  wo to rasta bhul gayi hai
  sansar ke mele me
  bikhar gaye hai aashao ke
  bikhar gaye hai aashao ke sare tane bane
  kis par kya kya biti data
  tu sab kuch jane, tu sab kuch jane
  
  batla de prabhu tere jag me 
  haiwan hai kyu baste
  insano ko dhokha dekar 
  shitan hai kyu hanste
  suljha de prabhu hum aaye hai
  suljha de prabhu hum aaye hai
  uljhan ye suljhane
  kis par kya kya biti data
  tu sab kuch jane, tu sab kuch jane
  ye baat hai bilkul sacchi
  koi mane ya na mane
  o kis par kya kya biti data
  tu sab kuch jane, tu sab kuch jane
  ye baat hai bilkul sacchi
                            
                            
                        