Aadmi Diwana Hai Aitbaar Karta Hai Lyrics
aadmi diwana hai atbar karta hai
  aadmi diwana hai atbar karta hai
  waqt bhi kabhi kisi ka intzar karta hai
  aadmi diwana hai atbar karta hai
  
  thodi si hakikat hai thoda sa fasana hai
  or kya hai jindagi or kya jamana hai
  or kya hai jindagi or kya jamana hai
  aadmi diwana hai diwana hai
  aadmi diwana hai atbar karta hai
  
  aankh kholi ji uthe band ki to mar gaye
  aankh kholi ji uthe band ki to mar gaye
  ache bure sare din ek din gujar gaye
  ek sawari aayi thi ek sawari aayegi
  jindagi jo layi thi maut leke jayegi
  jindagi jo layi thi maut leke jayegi
  aadmi diwana hai diwana hai
  
  jine ke liye khushi to bahut jaruri hai
  jine ke liye khushi to bahut jaruri hai
  thoda sa jo gum nahi to har khushi adhuri hai
  ek din marze gum khud masiha ban gaya
  dard itna badh gaya ke dard dawa ban gaya
  dard itna badh gaya ke dard dawa ban gaya
  aadmi diwana hai diwana hai
  
  kya janaja hota hai kya barat hoti hai
  kya janaja hota hai kya barat hoti hai
  log jama hote hai ek hi bat hoti hai
  panghat se marghat tak sath mela jayega
  jo akela aaya hai aaya hai
  jo akela aaya hai wo akela jayega
  jo akela aaya hai wo akela jayega
  jo akela aaya hai wo akela jayega
                            
                            
                        