Karun Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaaun Use Lyrics
karu na yaad magar kis tarah bhulau use
  karu na yaad magar kis tarah bhulau use
  gazal bahana karun aur gungunau use
  karu na yaad magar kis tarah bhulau use
  karu na yaad 
  
  wo khar khar hai shakh-e-gulaab ki maanind
  wo khar khar hai shakh-e-gulaab ki maanind
  main zakhm zakhm hu phir bhi gale lagau use
  karu na yaad magar kis tarah bhulau use
  karu na yaad 
  
  ye log tazkire karte hai apne logo ke
  ye log tazkire karte hai apne logo ke
  main kaise baat karu aur kahan se laau use
  karu na yaad magar kis tarah bhulau use
  karu na yaad 
  
  jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz
  jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz
  ajab nahi hai agar yaad bhi na aau use
  karu na yaad magar kis tarah bhulau use
  gazal bahana karunaur gungunau use
  karu na yaad magar kis tarah bhulau use