Mohabbat Ke, Suhane Din Lyrics
mohabbat ke suhane din jawani ki hasi rate

  judai me najar aati hain ye sab khwab ki bate

  ye tanhai nahi thi is jagah thi pyar ki mahfil

  tere gum se gale mil kar jaha ab ro raha hai dil
  yahi has-has ke hoti thi kabhi apni mulakaate
  mohabbat ke suhane din
  
  mere maayus hontho pe tere gam ki kahani hai

  kahani ye nahi gam ki ye ulfat ki nishani hai
  ye aansu aur ye aahein mohabbat ki saugaate