Aaj Iskee Bhari Jholi Lyrics
sona chandi jhuthi doulat sacchi daulat pyar sacchi doulat ke dushman sab jhuthi ke sab yaar aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi doulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi nafrat ki chhuri seene pe dhar deti hai doulat nafrat ki chhuri seene pe dhar deti hai doulat bhai ko juda bhai se kar deti hai daulat doulat ke liye apno ka khoon karta hai insaan kuch aisa zahar aankho me bhar deti hai daulat ye bhukh hai aisi jo mari hai naa maregi daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi insaan tu bna firta hai daulat ka pujari insaan tu bna firta hai daulat ka pujari din raat tujhe rahti hai daulat ki khumaari daulat ka sahara naa bacha payega tujhko bhagwan ke insaaf ki jab aayegi baari daulat ki hawas kal tujhe barbaad kregi daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi daulat jise kahte hai wo hai dhup me saya saya jise kahte hain kabhi haath naa aaya izzat bhi gayi jaan bhi gayi naam bhi duba daulat ke liye tune ye imaan bhi gawaya daulat ke liye tune ye imaan bhi gawaya daata ki daya hai jo tere sath rhegi daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi